Mout mangte hain...

Mout mangte hain to zindagi khafa ho jati hai,
Zehar late hain to wo bhi dawa ho jati hai..
Tu hi bta ae mere dost kya karun,
Jisko bhi chahte hain wo bewafa ho jati hai…
**
Wafa ka naam mat lo yaaro,
Wafa dil dukhati hai..!
Wafa ka naam lete hi,
Ek bewafa ki yaad aati hai..!!
**
Woh bewafa nikli toh kya hua,
Kuch dino ka saath to nibhaya tha,
Tadapta hua chhod gayi to kya gilla,
Tadapna bhi toh ussi ne sikhaya tha..!!
**
Na karna pyar kabhi kisi musafir se,
Unka thikana bahut door hota hai.
Wo kabhi bewafa to nahi hote,
Magar unka jana jarur hota hai..!!

No comments:

Post a Comment